Tuesday, October 27, 2009

ELECTION DAY RIDE TO MALSHEJ

Malshej is nestled in the lofty rugged hills of the Western Ghats.Hills were clothed in a soothing shade of mint green and the weather was bit hot. it is a heaven of sorts as the solitude of unending rolling hills.We took our time and clicked lots..lots of pics.Enjoyed every bit of ride and beautiful scenery around.
Totak Km's :- Approx 300
I am posting this trip log in Hindi so read it and enjoy



YATRA VARNAN-->Chunaavi sargarmi..Chunaav kaa diwas aur ek din kaa awkaash..hum logon ek liye ek aur avsar door kahi tafri marne kaa..Hum logon kaa pehle se hi Malshej jaana taya tha.Aur bibek baabu ko unke naye "PRATIBIMB LENE KI PETI" kaa udghaatan jo karna tha.Pratahkaleen 6 baje Anantkaal sergaah(eternity mall,Thane) par milne ka taya hua..Par hamesha ki tarah vilamb ki wajah se sabhi 7 baje tak sammilit ho paye.Is safar pe upasthit sawar theBeruoist- R15Buyback-P200anshthealpha-StunnerBina koi samay gawaye hum apne gantavya ki ore nikal pade.Pratahkaal kaa samay..thandi hawa kaa jhoka aur woh suryodaya kaa aalam.Hum log dheere dheere niyamit vage par badhte chale jaa rahe the..kyunki Stunner wala saathi chalak kaa yeh pratham Bhraman tha.Chand ghanton tak sawari karne ke baad hum log ek bhojnalaya pe ruke..Jalpaan karne ke liye.Swadisht Misal paav ewam garam garam wadon kaa aanand uthaane ke pashchaat hum log punah apne gantavya ki ore nikal padee.Jaise Jaise hum malshej ke nasdeeq pahucte gaye prakratik drashyon kii khobsurati dar badar badhti chali gayii.Antatah hum log apni manjil par pahuch hi gaye.Malshej ghat Prakriti ki anupam sanrachnaa,Tedhe medhe marg ke beech me samaya hua ek swarg tulya sthaan.Awismarniya ghaaton ki shrankala,Kal kal karte jharnon se utapanna hone wala madhur sangeet,Pakshiyon kaa samooh,Anginat foolon se saja hua dharatal.aur bhi bahut kuch jise kewal mehsoos kiya jaa sakta he shabdon me bayan nahi kiya jaa sakta,..aur naa hi kalam se seemit kiya jaa sakta he.Malshej ghat tak pahuchte hue hamne raste me takreeban 4-5 sthaan pe wiraam kiya aur dher saare chayachitra ekatrit kiye.Malshej ghat se hokar humne aage Joga baandh ki ore prasthaan kiyaa..jaha hume thodi kachhi sadak kaa saamna karna pada.Par ye sagharsh itni khoobsurat jheel ka anand uthane ki tamanna ke saamne naganya tha.Thoda door kachhi sadak pe chalne ke baad hum log jheel ke sameep pahuche toh dekhaa 3 sharabi jheel ke sameep Lata..Kishore ..rafi ke Haseen nagme chala ke madiraa kaa anand utha rahe the.Mien aur Anshuman apni motor cycle ko rakh ke jheel pe utar pade aur bibek baabu apne pratibimb lene wali peti se ek ek karke chaayachitra nikalne lagee.Itna hi nahi woh sharabi log bhi hath karne lage ki hamari bhi chayachitra nikalo..antatah hamare chayachitrak ne unki ikchaao kaa samman karte hue unki tasveeren bhi nikal daali..kuch pal ke liye jheel kaa anand uthane ke baad rimjhim rimjhim barish shuru ho gayi.Isse pehele ki barish ki wajah se woh kachha rasta hamare liye pareshaani ka sabab ban baithta hum log apni motor cycle utha ki waapsi ki ore nikal pade.Lautate samay hamne marg me maharashtra paryatan kaa bhojnalaya dekha..us samay takreeban 2:30 baja tha dopahar kaa.Bhojan me hamne aadha murg haandi,chapati kaa aadesh diya aur nasdeeq ki upasthit darshaniya sthall ki ore nikal pade.Aur vishwaas maniye...ye sthal ab tak dekhe sabhi sthal me se sabse khoobsurat tha.Chand chayachitra nikalne ke baad hum log bhojan ke liye wapis pahuche aur bhojan samapt karte karte takreeban 4 baj gaye.tatpashchaat zyada wilamb naa karte hue hum log wapis ghar ki ore nikal pade.Bibek takreeban 8:15 baje..mien 9:00 baje aur saathi anshuman takreeban 8:45 baje apne ghar pahuch paye.
Har baar ki tarah yeh safar bhi avismarniya,adbhut aur durghatana rahit tha.

Here are some beautiful shots

The Bful lake..with the babes in rest

On the way

Your humble blogger

Panoramic shot from SE

River down the road
Bful FLY flying by

Another LAKE shot


Small dam in between

Just drop dead

XBHP..!!
Another river shot

Macro

Babe on the road
Landscape

I hope you enjpyed the pics and words.Your comments and suggestions are welcome.
Cheers
Rohit

No comments:

Post a Comment