Monday, September 14, 2009

MUMBAI TO DAHANU - DREAMLAND UNLEASHED

Saturday morning,Three rider's,one pillion,three babes ready to ride to the eternity Dahanu.Basically it was supposed to be a business related trip merged with flavours of biking and touring.But who cares about the business all we wanted is a strong reason for fun ride.You need money to liv & you liv to earn money. For money you do Business & sumtimes you try to combine Business with pleasure... To us its Biking.
Riders
Spiderweb -ZMA
Motorbreath - Black P200
Beruoist- Wine red P200
Dinesh as pillion

Another bouncer to the dear readers
My kind of Trip logg
"Ek Adbhut Sthal ki KHOJ : Dahanu"



Savera ho chuka tha,par shukrawar k jaam ki khanak abhi tak reh reh kar kano mien goonj rahi thi k achanak subah hote hue dikhai di.Nindra devi ko har roz ki tarah alvida kehke door dhwani yantra ki sahayta se Spidy aur bibek ko sandesh bheja ki kahi vicharan pe jaane kaa vichaar he kya ??Zyada intezaar kia bhi nahi ki Spidy kaa pratiuttar aaa pahucha.Theek adhaa ghante me Goregaon poorv me sammilit hone kaa taya hua.Aandhe ghante me apne dainik karya se nivratta hoke Sirastraan,Dastaane ewam jacket dhaaran karke dahanu ke safar ke liye chal pada.Kuch hi kshaano me goregaon pull pe pahuch gaya.Ab karna tha intezar baaki motorcycle chalakon kaa.Jinke saath mujhe aage tak kaa safar taya karna tha..In Tanha palon ko kaatne ke liye maine dhumradandika jalayi hi thi ki Spidy aur Motor door se aate dikhai diye.Thoda milana julna karke hum log apne gantavya ki ore badh chale.Subah kaa waqt sunsan sadak aur mudmust thandi hawa ka jhoka deewana bana dene wala tha.Hum teeno us subah ke sannate ko bhang karte hue teevra gati se badhe chale ja rahe the badhe chale jaa rahe theee.Takreeban aadhi doorie taya karne ke baad hum logon ne sammilit bahumut se jalpaan karne kaa nischaya kiyaa..aur antatah hum logon ne rah par ek dhaabe pe apana padav dala.Garam Garam aalo k parathe chai ...lazeez omlette..dhoomra dandika.aur bere kaa JANAB JANAB kehke cheezen dena ...ek ati uttam jalpan karne k pashchaat hum punah nikal pade apne bache hue safar k liyeTakreeban 115 kilometer safar karne ke baad hum aise padav pe pahuche jaha se Pradhan marg se hatkar ek sankeerna marg pe jaana tha.waha se Dahanu takreeban 25 KM door tha.Bina koi samaya gawaye hum us raah pe ho liye jo hume apni manzil pe pahuchaane wali thi. Woh hari bhari wadiyaan,Dhaan ki fasal se lehlehate khet aur Hum teen pe tikti sabki nigaahe.bumbai ki vsyata zindagi,Shorgul se paripoorna jeevan,best aur auto walon k kartabon se kahi door shant ekant me prakarti ki sameep,ek ehsaas jise shabdon me baya nahi kia jaa sakta.Chand ghante hawa se bate karne k baad hum Hemant(Spidy ka mitra) ke yaha pahuche.Waha thoda aaram kia aur ati uttam laziz bhojan kaa kutf uthaaya..Puri..2 prakaar ki sabjiii...ghar pe bani hui gulabjamun...Besan k laddu..daal..salad...mirch wali bhaji ..aur bahut sare bhojya padarth jine mujhe naam bhi nai pata...Tanik aaram pharmane ke pashchaat hum samudra tatt ki ore nikal padee...samudra tat waha se chand minaton ki doorie pe thaa..Tat ka nazara bhaavvibhor kar dene wala tha.Vrakshon kaa samooh...safed rett..aur koyle k tukde aur dher saare chunnu munnu...Anginat tasveeren nikalne k baad humne taya kiya ki wapis hua jaaye...kyunki Motor aur Me Shukrawar ki ratri me so nai paaye the..jabki spidy bhi sirf ek ghante soya tha.Wapsi pe ek durghantanagrast truck dekha..dekh k ek pal laga ki kitana bhayankar dhurghatna hui hogiiAntatah sayankaal 6 baje ghar pahucha...aur 6:30 baje soke ravivar ko 10:00 baje pratah kal utha.Ummeed karata hu sabhi mitron ko Is safar kaa varnan pasand aaya hoga !!!..Parantu tasveeren sari motor aur spidy k sameep heee !!Priya mitron Vyaakran sambandhi galtiyon k liye shamaprarthi hu...vistrat varnan k liye motor aur spidy ke lekhan kaa intezaar kareee It was fun writing all this ...just like old days of Essay writing...

Pipe ripping
Sagar Kinare..Dil ye pukare



Wreckage



Dare to sit like that on a busy road

One thing in common

Caught in the WEB

Comic character -FLASH

Sharukh khan pose




















That's all from this ride...Enjoy the log and the pics
Cheers
Rohit

No comments:

Post a Comment